Shayaris are often used very beautifully in Bollywood movies. It adds a unique touch of Nazaakat to the otherwise regular dialogues of the movies. Shayaris are no doubt, a beautiful way to convey an emotion with intense depth. The delicate nature and words used in Bollywood Shayari has a romantic nature attached to it. In this article, we have shared amazing Hindi Bollywood Shayari, New Bollywood Shayari, Best Bollywood Shayari, Hindi movies Shayari, Filmi Shayari in Hindi, Shayaris from Bollywood Movies in Hindi. Read these Latest Hindi Shayari and share it with your friends and family.
Bollywood Shayari
Main Aur Meri Tanhaai,
Aksar Yeh Baatein Karte Hain,
Tum Hoti Toh Kaisa Hota,
Tum Ye Kaheti,
Tum Wo Kaheti,
Tum Iss Baat Pe Hairaan Hoti,
Tum Us Baat Pe Kitana Hansti,
Tum Hoti Toh Aisa Hota,
Tum Hoti Toh Waisa Hota,
Main Aur Meri Tanhaai,
Aksar Yeh Baatein Karte Hain…
Rone De Tu Aaj Humko, Tu Aankhein Sujane De,
Baaho Mein Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jaane De,
Hai Jo Seene Mein Qaid Dariya Wo Chhoot Jayega,
Hai Itna Dard Ki Tera Daaman Bheeg Jaaega.
Tu Mujhe Chahe Na Chahe
Yeh Tere Bas Mein Toh Hai,
Aur Main Tujhko Na Chahun
Yeh Mere Bas Mein Nahi.
Pyar Mein Sauda Karne Ki Aadat In Aamiron Ki …
Jaan Le Leti Hai Hum Jaise Gareebon Ki.
Tumsa Koi Aur Is Zameen Pe Hua
To RAb Se Shikayat Hogi,
Tumhein Chahne Waala Koi Aur Hua,
Toh Qayamat Se Pehle Qayamat Hogi.
Dil Ke Chhalon Ko
Koi Shayari Kahe Toh Parwaah Nahi,
Taqleef Toh Tab Hoti Hai
Jab Koi Waah Waah Waah Karta Hai.
Badi Muddat Se Mere Dil Mein
Ek Tasveer Behti Hai,
Teri Zulfon Ki Chaanv Mein,
Meri Taqdeer Behti Hai.
Kiski Talvar Par Sar Rakhun Yeh Bata Do Mujhe …
Ishq Karna Agar Khata Hai Toh Saza Do Mujhe
Mohabbat Rang Lati Hai Jab Dil Se Dil Milte Hai …
Mushkil Toh Yeh Hai, Ki Dil Badi Mushkil Se Milte Hai.
Shaam Hai, Baarish Hai, Pyar Ka Mausam Hai,
Sun Lene DE Hawa Main Faile Hue Sangeet Ko.
Aag Hai, Tadap Hai, Bebasi Ka Aalam Hai,
Keh Lene De Aaj Kuch Bichhde Hue Meet Ko.
Mohabbat, Hamne Maana Zindagi Barbaad Kar Deti Hai…
Yeh Kya Kam Hai Ki Marr Jane Pe Duniya Yaad Karti Hai.
Hasogi Toh Jeet Jaogi, Rahogi Toh Dil Dukhaogi …
Chahe Paas Raho Nah Raho, Hamesha Apne Saath Paogi
Aarzoo Jhooth Hai,
Aarzoo Ka Fareb Khana Nahi ..
Khush Jo Rahna Ho Zindagi Me Tumhe..
Dil Kabhi Kisi Se Lagana Nahi.
Hamari Iss Duniya Mein
Zindagi Thami Si Rehti Hai,
Kabhi Aaiyega But Banke Baithenge.
Aye Khuda Aaj Yeh Faisla Karde,
Use Mera Ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe Hai Maine,
Koi Khushi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahut Mushkil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kam Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi
Aur Mujhe Fanaa Karde.
Bas Ab Ek Haan Ke Intezaar Me Raat Yunhi Guzar Jaayegi,
Ab Toh Bas Uljhan Hai Saath Mere Neend Kahan Aayegi,
Subah Ki Kiran Na Jaane Konsa Sandesh Laayegi,
Rimjhim Is Gungunayegi Ya Pyaas Adhuri Reh Jaayegi
Aap Bhi Itna Samajh Le Mujhko Samajhne Ke Baad,
Aadmi Majboor Ho Jaata Hai Dil Aane Ke Baad.
Paal Le Koi Rog Nadan Zindagi Ke Vaaste …
Sirf Sehat Ke Sahare Zindagi Katti Nahi
Taqdeerein Badal Jaati Hai,
Zamana Badal Jaata Hai,
Mulkon Ki Tareekh Badal Jati Hai,
Shahenshah Badal Jaate Hai,
Magar Iss Badalti Hui Duniya Mein
Mohabbat Jis Insaan Ka Daaman Thaam Leti Hai,
Wo Insaan Nahi Badalta.
Bachpan Ki Pant Jawani Mein Fit Nahi Hoti …
Aur Har No Ball Pe Free Hit Nahi Hoti
Khushiyan Kisi Ki Mohtaj Nahi Hoti,
Dosti Yuhi Ittefaq Se Nahi Hoti,
Kuch To Maainey Honge Is Pal Ke,
Warna Yuhi Aapse Mulakat Nahi Hoti.
Mil Jaaye Tumhe Tumhari Mohabbat,
To Maan Lo Khuda Tumpar
Meharbaan Ho Gaya, Aur Na Mile,
To Jaan Lo Ke Khuda Tumse Ek Jaan Ho Gaya.
Teri Aankhein Hai Jheel,
Jharno Ka Hai Tujh Mein Jaadoo,
Bas Ek Nazar Dekh Kar Tuhjko,
Mera Dil Hota Hai Bekaabu.
Also Read- CID Shayari
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Jaam Dusro Se Cheen Kar Hum Piya Nahi Karte,
Unko Mohabbat Hai To Aakar Izhaar Kare,
Peecha Hum Kisi Ka Kiya Nahi Karte.
Na Jaagte Hue Khwaab Dekha Karo,
Na Chaaho Use Jise Paa Na Sako,
Pyar Kaha Kisi Ka Poora Hota Hai,
Pyar Ka Pehle Akshar Hi Adhoora Hota Hai.
Kehte Hai Pyar Mein Neend Udh Jaati Hai …
Koi Humse Bhi Mohabbat Kare …
Kambhakt Neend Bahut Aati Hai
Kaate Nahi Katatey Lamhe Intezaar Ke,
Nazrein Bichhayein Baithe Hain Raste Pe Yaar Ke,
Dil Ne Kaha Dekhe Jo Jalwe Husn-e-yaar Ke,
Laya Hai Unhe Kaun Falak Se Utaar Ke.
Hume Toh Apno Ne Loota, Gairon Mein Kahan Dum Tha …
Meri Kashti Thi Doobi Wahan, Jahan Pani Kam Tha.
Apne Hisse Ki Zindagi Toh Hum Kab Ki Jee Chuke,
Ab To Sirf Dhadkanon Ka Lihaz Karte Hai,
Kya Kare Inn Duniya Walo Ka,
Jo Aakhri Dhadkanon Pe Bhi Aitraaj Karte Hai.
Aaj Bhi Itna Maisir Nahi Maikhane Mein,
Jitni Hum Chhodh Diya Karte The Paimaane Mein.
Humse Door Jaoge Kaise,
Dil Se Humein Bhulaoge Kaise,
Hum Wo Khushboo Hai Joh,
Saason Mein Bastein Hai,
Khud Ki Saason Ko Rok Paaoge Kaise.
Har Ishq Ka Ek Waqt Hota Hai,
Woh Hamara Waqt Nahi Tha.
Par Iska Yeh Matlab Nahi Ki
Wo Ishq Nahi Tha.
Tere Dil Mein Meri Saason Ko Panaah Mil Jae,
Tere Ishq Mein Meri Jaan Fanaa Ho Jae.
Itni Shiddat Se Maine Tumhe Paane Ki Koshish Ki Hai,
Ki Har Zarre Ne Mujhe Tumse Milane Ki Saazish Ki Hai.
Teri Aankhon Ki Namkeen Mastiyan,
Teri Hasi Ki Beparwaah Gustakhiyaan,
Teri Zulfo Ki Lehrati Angdaiyan,
Nahi Bhoolunga Main,
Jab Tak Hai Jaan, Jab Tak Hai Jaan.
Nadi, Nadi Nahi Jisme Paani Na Ho,
Hawa Hawa Nahi Jisme Ravani Na Ho,
Woh Shaadi, Shaadi Nahi Jisme Prem Kahani Na Ho.
Tumhare Ishq Se Bani Hoon Main …
Pehle Zinda Thi …
Ab Jee Rahi Hoon Main.
Aap Hume Bhul Jao Hume Koi Gam Nahi,
Jis Din Humne Aapko Bhula Diya,
Samajh Lijiyega Iss Duniya Mein Hum Nahin.
Lahu Luhaan Hua Hai Falak,
Yeh Kaisa Loha Pighla Hai,
Ek Sooraj Doob Gaya Peeche,
Ek Suraj Saamne Nikla Hai.
Tum Milo Na Milo, Na Milne Ka Gham Nahi,
Tum Paas Se Hi Gujar Jaao, Milne Se Kum Nahi.
Maana Ki Tumhe Kadar Nahi Humari,
Magar Unse Puchho Jinhe Hum Haasil Nahi.
Tujhe Yaad Kar Liya Hai Aayat Ki Tarah …
Ab Tera Zikr Hoga Ibadat Ki Tarah
Jo Taar Se Nikli Hai,
Wo Dhun Sabne Suni Hai,
Jo Saans Pe Guzri Hai,
Wo Kis Dil Ko Pata Hai.
Tu Bhola Bhala Hai Dil, Bekaar Rulaya Jayega …
In Shok Haseeno Se Milkar, Wallah Bahut Pachtayega.
Ishq, Joh Toofani Dariya Se Bagawat Kar Jaaye Wo Ishq,
Bhare Darbaar Mein Jo Duniya SE Ladh Jaaye Wo Ishq,
Jo Mehboob Ko Dekhe To Khuda Ko Bhul Jaaye Wo Ishq.
Chehre Ki Khushi, Dil Ki Hassi,
Sharm-o-Haya,
Tujh Pe Vaar Aaye Hain Teere Deewane,
Jaane Kya Kya.
Besharam Badtameez Khudgarz Hota Hai …
Par Pyar Toh Aise Hi Hota Hai
Pehle Toh Apni Dil Ki Raza Jaan Jaiye,
Phir Jo Nigaah-e-yaar Kahe Maan Jaiye,
Kuch Keh Rahi Hai Aapke Seene Ki Dhadkane,
Meri Suniye Toh Dil Ka Kaha Maan Jaiye.
Dil Ko Zubaan, Aankhon Ko Sapne Mil Gaye …
Aashiqui Mein, Zindagi Ko Mainne Mil Gaye
Paani Se Pyaas Nah Bhuji Toh Maikhane Ki Taraf Chal Nikla …
Socha Shikayat Karoon Teri Khuda Se …
Par Khuda Bhi Tera Aashiq Nikla.
Ek Pal Mein Jo Aakar Gujar Jaaye
Yeh Hawa Ka Woh Jhoka Hai ..Aur Kuch Nahi.
Pyar Kahti Hai Duniya Jise,
Ek Rangeen Dhokha Hai .. Aur Kuch Nahi.
Khuda Ne Jabb Tujhe Banaya Hoga
Ik Saroor Uske Dil Mein Aaya Hoga
Socha Hoga Kya Doonga Tohfe Mein Tujhe
Tabb Jaake Usne Mujhe Banaya Hoga…
Jisne Hamko Chaha, Use Hum Chah Naa Sake,
Jisko Hamne Chaha, Use Hum Paa Naa Sake,
Ye Soch Lo Ki, Dil Tutne Ka Khel Hai,
Kisi Ka Toda Aur, Apna Bacha Naa Sake.
Phool Khilte Hain Baharon Ka Samaa Hota Hai,
Aise Mausam Mein Hi To Pyaar Javaan Hota Hai.
Dil Ki Baaton Ko Hothon Se Nahi Kehte,
Ye Fasaana To Nigaahon Se Bayaan Hota Hai.
Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai,
Ke Zindgi Tumhare Zulfo Ki
Narm Chhanv Mein Gujarne Paati,
Toh Shadab Ho Bhi Sakti Thi…
Yeh Ranjo-Gham Ki Syaahi
Jo Mere Zeest Ka Muqaddar Hai,
Tere Nazar Ke Shuao Mein
Kho Bhi Sakti Thi…
Magar Ab Yeh Aalam Hai Ke Tu Nahi
Tera Gham Teri Justju Bhi Nahi,
Gujar Rahi Hai Kuchh Iss Tarah Se Zindagi Jaise
Ise Kisi Ke Sahare Ki Aarjoo Bhi Nahi.
Bollywood Shayari In Hindi
इंसान को दिल दे , जिस्म दे , दिमाग दे
लेकिन यह कमबख्त पेट मत दे ।
जब पेट देता है , तो उसे भूख मत दे ।
एक तरफा प्यार की ताकत ही
कुछ और होती है,
और रिश्तों की तरह ये दो लोगों में नही बंटती,
इसमे सिर्फ मेरा हक है।।
तू मेरी steady गर्लफ्रैंड है, नहीं ना ।
वो मेरी exclusive माँ है।।
गर्मीए हज़रत के नकाम से जलते है
हम चिरागों की तरह शाम से जलते है…
जब आता है तेरा नाम मेरे नाम के साथ
ना जाने क्यों लोग हमारे नाम से जलते है
मैंने तुमसे कितनी बार कहा है पुष्पा ,
मुझसे यह आँसूं नही देखे जाते ।
आइ हेट टीयर्स ।
एक छोटा सा जख्म बहुत गहरा दाग बन सकता है ।
और एक छोटी सी मुलाकात जीवन भर का साथ बन सकती है
मैं मरने से पहले मरना नही चाहता
Also Read- Attitude Shayari
न सिर्फ एक शब्द नहीं,
अपने आप में पूरा वाक्य है।।
इसे किसी भी तरह के स्पष्टीकरण की
आवश्यकता नहीं है।।
न का मतलब सिर्फ न होता है।।
अपनी आँखों के समंदर में डूब जाने दे
तेरा मुजरिम हूँ मुझे डूब के मर जाने दे
औरत पर हाँथ डालने वाले की
उँगलियाँ नही काटते ,काटते हैं उसका गला।।
अपाहिज वो नहीं, जिसका कोई अंग न हो…
अपाहिज वो है ,
जो अपने अंग का इस्तेमाल न करे।
दूसरों की मदद न करने वाले हाँथ अपाहिज हैं,
जुल्म को देखकर मुड़ने वाली आँख अपाहिज है…
माँ बाप को छोड़कर भागने वाले पाँव अपाहिज हैं।।
अस्पताल में पड़े मरीज को और
प्यार में पड़े आशिक को
कभी अकेला नही छोड़ना चाहिए ।।